Friday, August 13, 2010

Poetry SMS

Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha


Woh laut kar na aaya magar intezaar tha

Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe

Main phans gayi bhanwar main woh darya ke paar tha

Manzil qareeb aayi to tum door hogaye

Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha

Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan

Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha

Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka

Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha

Yeh baat umer bhar samjh na paayi main

Kyun Dil mera us ka talabgaar th

No comments:

Post a Comment